Hi Admin n Mods…
Yahan gaming zone nahin hai…mera matlab hai forum games…?
Re: Gaming Section!!!
yes there is…
http://www.paklinks.com/gs/arcade.php?
Re: Gaming Section!!!
Bilkul jee bilkul, aap sahih keh rahee hain. In kumbukhton nay hum masoom aur bay-gunah bachon kay khazaanon sey sarey khilonay choree kar kay apnay khazaanon mein rakh diyey hain baghair poochay, aur khazaanay ki chabee pata nahin kahan chupaa kay rakhi hui hai. Mein to kehta hoon jee, hum bachon kay liyey bhi to kuch na kuch hona chahiyey naa khailnay kay liyey. Buhat bola hai jee buzurgaan-e-deen aur alim-e-uloomon ko, magar maantay nahin zalim log.
Re: Gaming Section!!!
dhobi_bhai…apney nick key neechay deykhain kya likha hua hai…nazar aaya ke naheen…
its written “senior member”…aur aap apney aap ko bachaa keh rahay hain…![]()