--gaey huwoN ki talaash-e-kaar fazool hay

Kahaa hawaaoN nay jaanay waalo,
gaey huwoN ki talaash-e-kaar fazool hay
ke suraag-e-rafta kisay milaa hay
ye tum jo aaNkhoN meiN AarzuoN
ke jhilmilatay chiraagh lay kar
siyaahioN meiN bhatak rahay ho tumhi bataao
zameen-e-murdaa say koi Ghuncha kabhi khila hay!
khayaal rastay kharaab fitrat ameen haiN
jo gaey huwoN ke azeez qadmoN
ki sar-guzashtaiN sunaa rahay heiN
Gulaab jismoN ke sabz khushbu aur aahatoN ki hayaat dastak
say wasal khuwaahish jagaa rahay haiN

Magar jo puucho keh ab kahaaN haiN
wuh shauq Chehray, Sawaal AaNkhaiN
tou Aesi nazroN say dekhtay haiN
ke jaesay Lafz apnay ma’ani say kat gaey hoN
gubaar-e-ibhaam-e-beynishaaN meiN
tamaam jumley simat gaey hoN

kahaa musaafat nay jaanay waalo
safar balaaoN ka ik samandar hay
jo saraapa bhanwar bhanwar hay
gaey huwoN ka kharaam
seel-e-hawaa-e-sehraa sa be-amaaN hey
keh jo maqaamoN say be-khabar hay
saraab aaNkhoN say mo’atabar hay
har aek manzar ke baazuoN pe
qabaa-e-rang-e-zawaal hay aur
shikast khaaboN kii humsafar hay

Kahaa SitaaroN nay jaanay waalo
magar puraanay bahaar rishtoN
ki ustuwaari ka shaoq raah-e-wisaal hay
aur baazgasht haroof-e-kohna meiN
Lafz-e-taaza kii zindagi hay
gharoN say nikley ho ab tou dekho
sakoon marg-e-wajood hay aur
talaash AankhoN kii roshnii hay
ke teergi ke safar ki manzil
gaey huwoN say damak rahii hay!

** By: Amjad I Amjad **

wah …:k:

Nice :k:

great:k:

:k:

nice one Gul thanks 4 sharin..:)

Bohat khoob.....

Re: --gaey huwoN ki talaash-e-kaar fazool hay

Lovely nazm Gul:k:…thanx for sharing.

bouhat khoob :k:

:k:

Good one :)

Bohat Khoob !!!

lajavab:k::k:
thanks…