Barabanki say mili hai yeh Ala’m-nak khabar
Eik insan nay kiya aik gadhay ka murder
Khar bhi ab jang ko taiyar nazar aty hain
Aalmi jang kay a’sar nazar aty hain
Is say pehlay kay bharak uthain gadhon kay jazbat
Khar-e-maktol kay ba’ry mei yeh ho tehqeqat
Yeh gadha kaun tha, kis mulk ka bashinda tha
Kya kisi khas jamat ka numainda tha
Qatl say pehlay kis bat peh sharminda tha
Kya sabot iska kay woh murdah tha ya zinda tha
Kahien yeh qatl siyasat ka natija to nahi
marnay wala kisi leader ka bhateja to nahi
Kahien bemar gham-e-dil to nahi hua tha yeh gadha
kahien khud apna hi qatil to nai tha yeh gadha
Han magar gham hai iska keh jawan thay mosouf
sirf khar he nai, fakhar-e-kharaan thay mosouf
Barabanki A city in -->( U. P.)