Aik shauhar bhaagtay huay ghar mainn dakhil hota hai, phoolay huay sans ka saath apni BV say kehta hai, “baygum…baygum main gher wapas aa raha tha kay raastay mein aik gadha…”
itnay mein un ka beta Guddu rota hua aata hai aur kehta hay “ammi ammi Rrani nay mujhay maara”.
BV bachay ko chup kerwaty hai “beta main abhi Rani ko bataty hoon”. Itnay mein shauhar phir bolnay ki koshish kerta hai, “baygum… baygum main gher wapas aa raha tha kay raastay mein aik gadha…”
itnay mein Rani sahiba rotay huway aati hain aur kehti hain "ammi ammi Guddu nay mery guriya tore dee. “Oho beta main nai gurya laa doun gee”
Phir wo apnay shauhar ki taraf dekhty hain aur shauhar doobara kehna shura karta hay kay “baygum…baygum main gher wapas aa raha tha k raastay mein aik gadha…” itnay mein bachay phir cheekhtay hain ammmmmmmiiiiiiiiiii or BV kehty hai
aray kambakhto chup ho jao mujhay GADHAY ki baat to sun lainay do…
![]()