Jahan main Cookin’ Classes kay liyah jaatee hoon. Wahan nukkar par stupid larkon ki toliyan bethi hotee hain. Un kay pass tou sharam naam ki bhi koi cheez nahi. Bohat tang kartay hain. Main akailay jaati nahi, kabhi ammi, kabhi aunty tou kabhi nokrani saath hotee hai meray, magar phir bhi woh Ullu baaz nahi aatay.
Main un ki wajah sey tou apni classes miss nahi karsaktee na ![]()
Tou aaj main nay unhain
dhoka dia…waapsi par unho nay mera peecha karna shuroo kardia..meray saath nokrani thee..usi nay mujhay bataya kah “baji woh log peechay aarahay hain..aur ek larkay kay haath main gulab ka phool hai.”
main tou ghabra hi gayee..lekin main nay himmat sey kaam lia aur usko kaha kah woh peechay mur kar na dekhay aur khaamoshii sey meray saath chaltee rahay kuch na bolay..main galiyon main guzartee rahee woh bhi meray peechay aarahay thay..phir ek, 2 galiyon main murrnay kay baad main ek ghar ki bell bajanay lagee
mujhay nahi pata tha kah woh ghar Police Uncle ka hai ![]()
itefaq sey Police uncle ghar par mojood thay, unho nay hi gate khola, tou main bolnay hi wali thee kah nokrani nahi bol dia kah “saab jee woh larkay bohat dyr sey humara peecha kar rahay hain..hum ghar nahi dikhana chahtay thay iss liyah galiyon main murtay rahay aur thak kar bell bajai hai.”
unho nay kaha andar aajao ghabranay ki baat nahi..main darr gayee kah andar kaisay jain hum..pata nahi kaisay aadmi hon kyun kah woh shakal sey pakkay police walay lag rahay thay ![]()
Itnay main andar sey unki wife aur beti bhi aagayeen..aur hum unko dekh kar gate kay andar aagaye..
Phir Janab! Uncle bahir Niklay aur unho nay un main sey uss larkay ko bulaya jis kay haath main gulab ka phool tha. Woh khushi khuhsi unkay pass aaya aur jaisay hi woh aaya, hahahaha Uncle nay uski gardan pakar li..bilkul aisay jo murghi walay zibah kartay waqt murghi ki gardan pakartay hain ![]()
phir tou saaray larkay bhaag niklay aur woh larka chillanay laga..mohallay kay kuch log bahir aai tou dekha uncle nay murghay…oh mera matlab hai larkay ki gardan pakar rakhi hai…aur phir uncle nay uski pitai shuroo kardi…aur saath saath sab ko batanay lagay kah kyun pitai kar rahay hain..phir tou sab nay aisi dhulai ki kah woh tou kya..uski agli nasal bhi yaad rakhay gee
hahaha..