Pyar ka pehla khat likhne mein waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udne mein waqt to lagta hai…
Jism ki baat nahi thi un ke, dil tak jana tha,
Lambi duri tai karne me, waqt to lagta hai..
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori,
Lakh kare koshish khulne me, waqt to lagta hai..
Hamne ilaaj e zakhme dil to dhoond liya lekin,
Gahre zakhmo ko bharne me, waqt to lagta hai.
Restored attachments:
Re: Gaanth agar lag jae to…
…Waqt to lagta hy…
Diva
3
Re: Gaanth agar lag jae to....
Lambi musafat tay kernay mein aur bhi waqt lag jaata hai agar CNG ki strike ho :D
Re: Gaanth agar lag jae to…
aur tyre puncture ho jae to 
tarash
5
Re: Gaanth agar lag jae to....
kuch zakham bhar to jaty hain laikin apna nishan chor jaty hain
Re: Gaanth agar lag jae to....
kuch zakham bhar to jaty hain laikin apna nishan chor jaty hain
acne cream use kar len. suna hai neem ke patton ka pani bhi kaar aamad hota hai