gaanay ka jawaab gaanay main

kia kheayl hay ager iss thread ko use kia jaey,or gaanay ka jawaab gaanay main deaya jaey.

tou sab say pahlay kon shuroo karay ga???

:)MaiN aur kon? :)
Lekin jang kitne ganooN ke baad shuru ho gi? Khair..

Ahem ahem...

Jaan-e-tamna khat hai tumhara
pyaar bhar afsana
dil le lo nazrana

Tum aik anokhi daulat ho
tum aik haseeN sarmayaa ho
tum dhoop meiN jalti rahooN meiN
ghangoor ghata ka saaya ho

Jaan-e-tamna khat hai tumhara
pyaar bhar afsana
dil le lo nazrana

:)

Likhay jo khat tujhay
Woh tere yaad main

Sawayra jub houa
to phool bun gay

jo shaam aaee to
Sitaray bun gay

thanks sabah or lostboy :)sabah k ganay ka jawab lostboy nay deya tou maira kheayl hay thoura saa topic change ker k yaad ki taref aaeyN ,tou yay gana zahun main aa raha hay

tairi yaad aa gaee
ghum khushi main dhul gaey
ik chiraagh kia jala
sou chiragh jal gaey :slight_smile:

or khaberdaar kisi nay jang ka socha

http://www.pak.org/gupshup/mad.gif

agay nahi ata

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

One of my favourite songs w.r.t. "Yaad" :)

Yaad aa rahi hai... :)
Teri yaad aa rahi hai

Yaad aaney sey, terey jaaney sey...
jaan jaa rahi hai

Pehle ye na jaanaa, tere baad ye jaanaa pyaar mey
Jeena mushkil kar degaa, ye dil deewanaa pyaar mey
Jaane kaise, saaNs ye aise, aa jaa rahi hai
yaad aa rahi hai ...

Ye ruut ki rang-raliyaaN, ye phuuloN ki galiyaaN ro pardeeN
Meraa haal sunaa tow, merey saath ye kaliyaaN ro pardeeN
Aik nahiN tuu, duniyaa aaNsu barsaa rahi hai
yaad aa rahi hai ...

Bantey bantey dulhan, preet hamaari uljhan ban gai
Merey dil ki dhardhkan, meri jaan ki dushman ban gai
Kuchh keh kehkey, mujhey reh rehkey, tardpaa rahi hai
yaad aa rahi hai ...

:)

Khat bhi ho geya... yaad bhi ho gayi :)... next what?... khwaab perhaps??. Dunno!

Heyyyyyyyyy these two songs are my favorite.......
Specially this one.....

Likhay jo khat tujhay.....nice going LostBoy :):)

I'll go next now....

Dil kiya karay jab kisi ko kisi say piyar ho jaiay
Janay kahan kab kisi ko kisi say piyar ho jaiay
Onchi Onchi deewaroon si is duniya ki rasmain
Na kuch tairay bas main....na kuch mairay bas main

Jaisay parbat pay ghatta jhuktee hai
Jaisay saagar say leher uthti hai
Aisay kisi chehray pay nigah rukti hai
Roak naheen saktee nazroon ko duniya bhar ki rasmain
Na kuch tairay bas main.....na kuch mairay bas main

Aa main tairee yaad main sab ko bhula doon
Duniya ko tairee tusveer bana doon
Maira bas chalay to dil cheir kay dikha doon
Daur raha hai saath laho kay piyar taira nas nas main
Na kuch tairay bas main.....na kuch mairay bas main

Dil kiya karay jab kisi ko kisi say piyar ho jaiay

Alright who's next??????

ok Mahbeena jee... aap ney accha sawaal poocha... Dil kya krey jub...pyar ho jaaye.
Another one of my favourite songs as an answer for u... :)

Jubb kisi ki taraff dil, jhukney lagey...
Baat aa karr zubaaN takk, ruukney lagey
BaatoN BaatoN mey iqraar hone lagey
Bol do garr tumhey pyaar hone lagey... :)

Uss ki khushbu agar apni saansoN mey ho
Uss ka chehra agar apni aankhoN mey ho
Jubb na Dil key behelney ki suurat lagey
Jubb koi zindagi ki zaroorat lagey
Aur jeena bhi duushwaar hone lagey...
Bol do garr tumhey pyaar hone lagey... :)

(I hope I did that right... couldn't really remember it all!...)

teri umeed, tera intazaar karte hein,
aye sanam hum to sirf tum se pyar karte hein

jane man hum to sirf tum pe jaan nisaar karte hein
aye sanam hum to sirf tum se pyar karte hein..... (i don't know the rest!)

film deewana

Ok Umar ne kaha bol do....aur coolmunde ne bol diya....to is ke ba'd phanda hota hai na??? Ya phir judai......to meiN judai ka gaana gaooN gi...

Tum zindagi ko gham ka fasaana bana gae
aankhooN meiN intzaar ki ghaRiyaaN basaa gae

Tum se thi mere pyaar ki duniyaa basi hui
tum se thi zindagi ke andherooN meiN roshni
tum kya gae chiragh-e-muhabat bujha gae

Tum zindagi ko gham ka fasaana bana gae
aankhooN meiN intzaar ki.....

Well Sabah this song came to mind as soon as I read your post.

Intaiha ho gayee intaizaar ki
Ayee na kuch khabar mairay yaar ki

Yeh hamain hai yaqeen
Baywafa woh naheen
phir waja kiya hoi
Intaizaar ki....

Intezaar eh…
sometimes u lose something and glance back ans wait indefinitely for it to come back…

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

hazaar raaheyN… murdh key dekheeN
kahiN sey koi sadaa naa aayi
Bari wafa sey… nibhaayee tuum ney
Hamari thori see be-wafaayi

JahaaN sey tuum mordh murr gaye thei
Yeh mordh abb bhi wahiN parey heiN
Hamm apney pairoN mey jaaney kitney
Bhanwarr lapetey huey kharey heiN

kahiN kisi roaz yuuN bhi hota
hamari haalat tumhaari hoti
Jo raat hum ney guzari marr key
Wo raat tuum ney guzaari hoti…

Aray janay kaisay kab kahan iqrar ho gaya
Hum soochtay he reh gayay aur piyar hoga

Gulshan bane galiyaan sabhee
phool ban gayeen kaliyan sabhee
lagta hai maira sehra tayyar hogaya
Hum soochtay he reh gayay aur piyar hogaya

Tum nay hamain bay bus kiya
dil nay hamain dhoka diya
Uff tauba jeena kitna dushwaar hogaya
hum sochtay he reh gayay aur piyar hogaya

How about this one?
Anyone got a song which matches to this one?

Mahbeena...
:)
nope... hehe... well, I would've posted the same song sometime in this thread cuz it stands amongst my favourite five of all-times.

Abb... sochna parey gaa :)

hmmm…
No one has a matching song for my post

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

Umar…lostboy…Sabah anyone

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

(((

Mahbeena
Ab matching nahiN to na sahi aage to baRhna hai na....to koi Ata Ullah ka chale ga?? naaah well mere zehen meiN to yehi hai is waqt:

YooN nazar se nazar ham-kalam hui
aaj ki shaam to tere naam hui
Jaane kya ho gaya, mera dil kho gaya
baat tanhai ki sar-e-aam hui
mil ke aankheiN jhukeiN aur pyaar aa gaya
aik pal meiN mujhe aitbaar aa gaya
kya kahooN kab se dil kitna bechain tha
teri qurbat mili to qarar aa gaya
something something ahem
YooN nazr se nazar ham-kalam hui

Aur aindah aise ganooN se parheiz kijiye ga jin ka jawab mushkil ho :)

lol sabah itnay mazay k ganay k baad jou dil ki halut houti hay tou yay gana zahun main ataa hay

aaj main ooper
asmaan neechay
aaj main agay zamana hay peecheechay

oops agay nahi ataa

http://www.pak.org/gupshup/frown.gif

Lo jee aap aasmanooN ko chal deiN….to phir ham yeh hi keh sakte haiN na

Akele na jaana hameiN choR ker tum
Tumhare bina ham bhala kya jeeiN ge
Akele na jaana

Diya hauslah jis ne jeene ka ham ko
woh ik khoobsoorat sa ehsaas tum ho
jo mitta nahiN dil woh yaqeeN tum ho
hamesha jo rehti hai woh aas tum ho
yeh soocha hai ham ne ke ham zindagi bhar
tumhari muhabat ko sajdah kareiN ge

Akele na jaanaaaaaa
:)