ga raha tha koi darakhtoon main
raat neend aagaiee darakhtoon main
chaand nikla ufaq k gharoon say
aag si lug gaiee darakhtoon main
yeh hawa thi ya dhiyaan ka jhoonka
kis nay awaaz di darakhtoon main
hum idher ghar main hogaeey bechain
door andhi chali darakhtoon main
lieeay jati hay mausamoon ki pukar
ajnabi ajnabi darakhtoon main
kitni abadiyaan hain shehar sai dooor
ja k daikho kabhi darakhtoon main
neelay peelay ,sufaid laal huraay
rung daikhay sabhi darakhtoon main
khushbo_on ki udaas shehzadi
raat mujh ko mili darakhtoon main
dair tuk uski taiz aankhon sai
roshni si rahi darakhtoon main
chalte chalte dagarr ujaloon ki
janey kyon murr gaiee darakhtoon main
sehmay sehmay say raat ahl_e_chaman
tha koi aadmi darakhtoon main.
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
Bohat Khoob…:k:
Aap is waqt Darkhton mein kia kr rahy hyn…?
Un k Ghar k bahar hy ye Darkht…?
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
main apne ghar, wo apne ghar.. darakht raaste main hain
jiia
5
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
es poetry k sath SAAD ki av post karen 
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
lols. masoom panda urf gujjaron ka shehzada
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
Mujhy lagat Jis Darkht py aap chaRay howay hyn…
Wo UN k ghar ki Dewaar k saath hy…
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
wo ghar pe nahin hai 
jiia
9
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
me bataoungi usko GUJRON KA SHEHZADA 
LP
10
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
ga raha tha koi darakhtoon main
raat neend aagaiee darakhtoon main
mere abbu bachpan mai aik dafa darakht pe soo gaye thay 
jiia
11
Re: Ga raha tha koi darakhaton main

me bachpan me darakht se gir gae thi 
LP
12
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
mai charhi he aik dafa hoon…and i wasnt a kid..shayad 19 ya 20 saal k thee…and i got stuck..ulti latki hue
abbu helped me up
jiia
13
Re: Ga raha tha koi darakhaton main

orr me to jab neche giri bakri par unhon ne bhi apny seengon se
me ri kafi izzat afazai ki :sid:
LP
14
Re: Ga raha tha koi darakhaton main

aap kiss cheez k pair pe charhi thee ?
i climbed mango tree
jiia
15
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
usko pata nahi kia kehte hein
per punjabi me SARE.N bolty thy bohat bara tha nana abba k gher me
Diva
16
Re: Ga raha tha koi darakhaton main
:)