G H A Z A L!!!
kisay sunaa-ooN gham-e zeest kaa fasaana maiN
Keh raazdan to koi aaj tak milaa hi nahiN
karooN maiN raah ki dushwaari kaa gila kis say
maiN woh musaafir-e kam- kosh keh chalaa hi nahiN
kabhi milo to maiN sab kuch hi tum sey keh DaalooN
keh roz roz to milnay kaa silsila hi nahiN
teraa suraagh nahiN phir bhi DhoonD looNga tujhay
bajuz Khudaa kay meraa ki Aasra hi nahiN
hazaar baataeN haiN jo mujh peh log kartay hain
magar yeh dil haiy keh paththar, kabhi jalaa hi nahiN
Aa phir Aaj Aaina hi daikh AMAR
keh sach to Aaj tak tu nay kabhi sunaa hi nahiN