FW: Momin Ki Mairaaj

Momin Ki Mairaaj

Namaaz momin ki mairaaj hai – Hadith.

Mairaaj urooj say bana, aur urooj bulandi par jaanay ko kehtay hein. Laikin yahaan dekho… namaz mein sajda kartay huay to insaan zameen ki taraf jaata hai.

Kaheen insaan ka khud ko mitti mein mila dena hi uski mairaaj to nahin?


Insaan jaisa khaufnaak khatarnaak jaanwar is duniya mein nahin. Yeh apni hi nasal ko maar deta hai. Is mein duniya jahaan ka fakhar aur ghuroor sama jaata hai aur sarkashi ki intiha ko pohanch kar khud ko Khuda samajh leta hai.

Jab yehi insaan apnay ghuttnay zameen par taik deta hai, apni naak ko zameen par ragarta hai, aur apni payshaani ko zameen par rakh deta hai, to is ki tamaam tar akar-foo nikal jaati hai. Aur phir jab woh sachay dil say kehta hai “Subhaana Rabbil A’la” – Paak Hai Woh Rabb Jo Sab Say Aa’la Hai – to phir usay ehsaas ho jaata hai keh main kia aur meri auqaat kia, tamaam Paaki to us Rabb kayliay hai. Is say ziyada aur main kia gir sakta hoon, meray haath paoon naak maatha sab kuchh to zameen par aa gaya, aur khud ko is qadar surrender kia bhi to kis kay aagay, “Rabbial A’la” kay aagay.

Ab jab tak mujhay woh Rabbial A’la ijaazat nahin dayga, meray ikhtiyaar mein nahin keh main dobara khara ho sakoon. Aur phir insaan kehta hai “Allahu Akbar” – Allah Hi Sab Say Bara Hai – tab us ko ijaazat milti hai keh haan banday ab tu khara ho sakta hai. Tu nay yeh bhi maan liya keh meray saamnay tujhay apna wajood tak surrender karna hai, aur tu nay zabaan say bhi iqraar kar liya keh Allah hi sab say bara hai, matlab physical revision bhi ho gayi aur spiritual bhi. Ab tum apni auqaat mein hi raho gay, aur har rakaat mein tum do baar jab yeh activity karo gay to khud ba khud jisko sajda kartay ho uski taazeem tumharay dil mein paida ho jaayegi. Us taazeem say khauf paida hoga, aur in dono elements say tum Allah kay qareeb ho jaaogay.

Yeh hai insaan ka khud ko mitti mein mila dena aur yeh hai insaan ki mairaaj.