**
Fuzool hai un sey yeh tamanna key merey gham ki dawa karein gey
Tabahi-e-dil pey jo tuley hon woh dil ki ta’ameer kiya karein gey
Qadeem aik rasm-e-dosti hai magr hai ab bhi wohi ta’alluq
Sitm sahey hain, sitm sahein gey, wafa key badley jafa karein gey
Na zindagi ko sukoon mila hai, na zindagi ney sukoon diya hai
Kabhi jo puhanchey us aastaan tak tu zindagi ka gila karein gey
Shareek-e-bazm-e-hayaat tum they tu aarzu’oon mein roshni thee
Tumhari qurbat sey duur reh kar sukoon mila tu kiya karein gey
Kisi ko maaloom tak na hoga key hum ko thi aap sey muhabbat
Kisi ko mahsoos tak na hoga kuch is tarah hum wafa karein gey
Mata-e-qulb-o-nazr luta kar uthaye mahroomiyun ke sadmay
Gham-e-zamana teri hikaayat barey mazay sey kaha karein gey
Khushi ki halki si aik kiran bhi dil-o-nazr mein nahi hai zakir
Udaasiyun per hi aasra hai kiya bhi shikwa tu kiya karein gey**