Fursatoon main phir milna
Beshumar batain hain
Jo tumhain batana hain
Aur tum ko jana he
Is tarhan ki Batain to fursatoon main hoti hain
Fursatoon main phir milna
Tum ko kia batain hum
Aur kia chupain hum
Baat chund lafzoon main
Ye khatam nahi hogi
Dastaan-e-gham he ye
Jitnamuqtasir kerlo
Itne kum nahi hogi
khuwab kaise hote hain
Inko kaise bunte hain
zindagi ke naqshe main
rang kaise bherte hain
Roozo shab khayaloon main
kis tarhan guzertay hain
aur phir lamhoon main…
Rang kion bikhertay hain
khwab kaise mertay hain
rooh se siwa hoker
jaano dil juda hoker
saans kaise laite hain
choor hoke zakhmoon se
kaise muskurate hain
zindagi bina marzi
kis tarhan bitate hain
Is tarhan ki batain to
fursaatoon main hoti hain
aur tum ko jaldi he
fursatoon main phir milna
fursatoon main phir milna!***
**Main Bari fursta main tha leekan aap key yah dastaan parhnay kay baad fursat he khatam ho gai
Anyway phir kabhi Fursat mili to chakar laga loon ga **