MEER saab se maazrat k sath
ulti ho gaeen sab tadbeerein, kuch na dawa ne kaam kia
jayli anti-biotic ne aakhir kaam tamaam kia
ehd-e-jawaani ro ro kaata, peeri mein lein aankhein mond
pehlay beewi, phir bachon ne apna ye anjaam kia
na-haq hum majbooron par ye tohmat hai mukhtaari ki
jo chaahay police karay hai, hum ko ibas badnaam kia
sar-zad hum se bay-adbi to wehshat mein b kam hi hui
us k aik ishaaray par apnon ka qatl-e-aam kia
kis ka kaaba, kis ka qibla, kon haram hai kya ehraam
wardi pehni washington mein ja k Bush ko salam kia
yaan k sped-o-siyah mein humko dakhl hai jo so itna hai
apnay kaam ashooray choray, uski khaatir kaam kia
Meer k deen-o-mazhab ko ab poochtay kya ho un ne to
party badli, eemaa’n becha, youn zinda islam kia