Funny shayeri..

neend mujhey raat bhar aati hai kam
shayad macharon ko bi mil gaya hai sanam

har pal mein sochta hon tum ko

kia karon koi aur kaam jo nehi hum ko 

mein chahta hon tum ko iss qadar

koi aur mil jaey tu dekhon naa mur kar

tujh bin zindagi ka tasawar hi nehi hai 

tere sang ho zindagi aisa bi koi scene nehi hai 

mohabbat hai mujh ko sirf tum sey sanam

sach keh raha hon mein tumhari qasam

jhot mein agar kahon tu, tu mar jaey

a kash mujh ko aishwarya mil jaey


iss dunya mein, tum he sab sey haseen ho 

mein aur kahon jhot kitna, ke tum ko yaqeen ho 

bas tere he sang jo meri zindagi

acha nehi ke mein kar lo khudhkoshi


rooz khawab mein nazar aatey ho tum 

kio mujhey neend mein bi daratay ho tum 

ab tu tere bin jeena ho gaya hai mushkil

haan ghar ke liye chahiye nokrani mustakil


dekho mujhey hai kitna pyar tum sey, ab tu haan karo 

agar ab bi hai inkaar tu yeh letter agay pass karo 

:smiley: