funny shayari

F-U-N-N-Y

Har phone per mein kehti hoon jaan tum itraatay bohat ho
Itratay tow bohat ho,dil ko bhaatay bhi bohat ho
Soochti hoon keh tum ko khaanay per invite keroon
Mager kiya keroon keh tum khaatay bhi bohat ho

Locket

Paish locket kia tow farmaya
Yeh tow mujh se bhi ziyadah khoobsoorat hai
Jab dil diya tow bolien rehne do
Is takalluf ki kia zaroorat hai

Reject

Mein ne diye they theek sawaaloon ke jawaab
Per us ke bawajood bhi reject ho gaya
Afser ka rishtedaar tow hazir bhi na tha wahan
Interview mein phir bhi who select ho gaya

Sartaaj

Mere pyare sertaaj suniye zara..
Mohabbat main mujh ko piro daaliye
Agar rooty shooty paka lee ho tow
Lagay hathoon bartan bhi dho daaliye

Chat patay

Apne jootoon ko na paa ker sheikh farmaanay lagay
Bhaiyon dhundhoo yahin hoongay yahin mil jaiengay
Yeh sada aayi keh jab hai aakbat per yakeen
Eik jootay ke ouz sattar wahan mil jaiengay

Dinner

Khanay ki maze thi keh tha maidaan-e-hashar
Biryaani aur qourmay ki kia lootmaar thi
Meday bharay tow khush nazar aanay lagay aziz
Werna sabhi keh chehroon per Allah ki maar thi

Jootay

Raat ka wakt hai aur masjid bhi hai kareeb
Sun lo keh main paighaam laaya hoon
Gher mein filhaan jitne bhi hain puraanay jootay
Aap bhi ja ke badal lein main tow badal laaya hoon

Doo Bahray Shanasaaon Ki Mulaakaat

1..Aadaab kerta hoon kaho kia haal hain?
2..Thailay mein doo romaal hain ek thaal hai
1..Insaan mein kuch zok-e-hamdardi bhi hai
2..Hum kia karein khaansi bhi hai sardi bhi hai
1..Manjhlay chacha kia ab bhi hain multaan mein
2..Derd sa rehta hai baaien (left)kaan mein
1..Beemaar hai begum guzishta raat se
2..Achi kahi dil khush hua is baat se

Saalgirah Ka Tohfaa

Tumhari saalgirah pe jaana kia bhejoon
Apni jaan bhejoon keh apna dil bhejoon
Phir soochta hoon jaana kion na
Tumhare liye kee hui shopping ka bill bhejoon

Self Made

Naam, tareekh, zaat, pedaaish
Jane kia kia bhara nisab mein hai
Merne waale tow mer gaye kab ke
Perhne waalon ki jaan azaab mein hai

:smiley:

Re: funny shayari

Adabee Mohabat k Taqazoon Ki Badolat
Hum Kablee Nafrat say bhi nafrat nahi kartay
Bhains nay mari takkar to khulla raz
har aik say izharee mohabbat nahi kartay

Re: funny shayari

:)

Re: funny shayari

awsome!