Funny Poetry

ok guys.. now something to change the mood.

Maana Ke Main Pura Musalman To Nahi
Par Apne Deen Se Nata To Jor Sakta Hoon
Nemaz Roza Kuch Na Sahi
Shab-E-Barat Patakhe To Chor Sakta Hoon

Chandni raat thi, main so rahi thi
Phir kisi ne darwaza khutkhataya
Maine soncha mera dil aaya
Darwaza khol ker dekha to bijli ka bill aaaya (ok this one is silly)

Aur bhi bahut si cheezain lut chu-ki hai dil ke saath
Ye bataya doostoon ne ishq furmane ke baad
Is liye kamray ki ek ek cheez “check” karta hoon main
“Ek tere aane se pehle, ek tere jaa-ne ke baad”

:clap:

I like the last one. All are nice though.

lol :hehe:

:)

Lolz nice one KK ji...

:D

Kon kehta hai pyaar may pakray jaeen gay?
Waqt aanay per behen bhai ban jaeen gay


Mohabbat mujhay un jawano se hai
Jo khatay peetay gharano se hain


Tum bhi besahara,hum bhi besahara
Fittay mu tumhara,fittay mu hamara


Hum nay usay dekha angle badal kar
Us ke baap nay hamay mara sandle badal kar


Dil kay armaa aanso’oo may bah gaye
Un kay bachay hamay mamu kah gaye


Un ki gali say guzray,ajab ittefaq tha
Unho nay phool phanka,gamla bhi saath tha


Log kehtay hain kayamat kay din marr jaeen gay
Hum bhi bohot chalaak hai,mangi thallay war jaeen gay


Woh cham cham karti hui ayi,
Woh cham cham karti hui chali gayi,
Mein sindoor ley kar khara tha,
woh rakhi baandh kar chali gayi



:rotfl:

nice one...keep tryin...the last one was good though

Read this somewhere a while ago.
tera mera jorh wi ki

Main ik akhar tay jungli paindu
tu muttiyar gulaba'n di
tera mera jorh wi ki

Main ik ghareeb kissan da putter
Tu ik raashi afsar dhi Dhee
Tera mera jorh wi ki

Mein mar mar BA keeta
To physics wich PhD
tera mera jorh wi ki

main khookhay tay cigarette phooka'n
tu hilton wich coffee pi
tera mera jorh wi ki

Main Ik shirt nu dhoo dhoo pawa'n
teray jooray punjee tree
tera mera jorh wi ki

Teray pichay sohnay munday
sadhay pichay CID
tera mera jorh wi ki

Teray nazaa'n nakhraya'n nalo
sanu changii chachay di dhee
tera mera jorh wi ki