funny MIX masala ,..lol

dil ek samundar hai kaha hai ye kisine
par samundar ki gehrai kinare se napi nahi jaati

deepak jugnu chand sitare ek se hain
yani sare ishq ke maare ek se hain

chashma laga ke raat ko sota hoon isliye
chashme bager khwab na dhundhla dikhai de

bandook se goli nikli to fire keh diya
aise hi kuch bak diya to shayar keh diya

jee chahta hai tumhari dhadkanoo ko apne kaano se sunu
lekin ye zalim zamanaa mere kaan hi kheech leta hai

humne kaha aapki smile ka jawaab nahi,
unhone kaha yeh nakli hai asli daant nahi.

humne kaha aapki zulfein to reshm hai,
unhone kaha “wig” ko reshm kehte ho?
tu to bada beshram hai

kamata nahi hoon itna ki tujhe roji khilaon
aana hai to aaja, ya kisi aur ko pataoo

humne unse pyar kia shour ke sath
usne hum se pyar kia gaur ke sath
aab hum bi pyar karenge gaur ke sath
kal humne unko dekha hai kisi aur ke sath

kabhie kehte the dost hamare ki
jaan bhi maango to haajir hai
aaj apni biwi ko jaan kehte hai
aur maango to inkar kartein hai

maine tujhe kitne khat likhe
tune kisi ka bhi jawab nahi diya
kahin tere dil mein raddi ki tokri to nahi?

india aur bharat kii jung ka natija kya hoga!!
india aur bharat kii jung ka natija kya hoga!!
bhai humain kya karna hai hum to hindustan main rehtain hain

:hehe:
Hindustan wala is the best:k:…

:hehe::rotfl::hehe:

yaa i like hindosaatn wala prase