FUNNY GHAZAL...

**
Usne kaha
Tum me pehle si baat nahi
Mene kaha
Insan hon koi science ki ejad nahi;-(

Usne kaha
Ab b kisi ki ankhon me doob jate ho
Mene kaha
Pagl ho kiya
ankhain hein koi talaab ;-)nahi

UsNe Kaha
Q Toot k Chaha tha Mujhe itna
MeNe Kaha
Dimagh se pedal tha jiska koi jawab nahi;-(

UsNe Kaha
Kiya Me Bewafa Hon
MeNe kaha
Tum itne dhokebaz ho jiska koi hisab nahi;-(

Us Ne kaha
Bhool ja Mujko
MeNe kaha
Abey tu he kon? mujhe to ye b yad nahi.**

Re: FUNNY GHAZAL…

:hmmm: ab aadmi ko itna bhi unromantic nahi hona chahiye

Re: FUNNY GHAZAL…

oos nai kaha
kuch paisay udhaar do mujhko
main nai kaha
Abey tu he kon? mujhe to ye b yad nahi.

Re: FUNNY GHAZAL…

To Aap bata dyn hisaab laga kr,
K kitna unromantic hona chahiya…

Re: FUNNY GHAZAL…

Humayon saeed se boht kam aur chohdri hashmat se thora ziada

Re: FUNNY GHAZAL…

:bizz:

Re: FUNNY GHAZAL…

yi to kafi serious hi:wub:

Re: FUNNY GHAZAL…

Aakhiri shair se toumein ne yeh nateeja akhaz kiya hai keh yeh sahib/sahiba FLIRT hain … :smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

hahaha..lagtaa hai k donoN ke din Kharaab the yaa qismat! :smiley:

vaise, mazaaHiya kalaam ko **“HAZAL” **kahte haiN! :slight_smile:

Re: FUNNY GHAZAL…

Sach mein?!?!

Re: FUNNY GHAZAL…

sachchii, qasam se! :smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

Haw haey …mein samjhi mazak hai :smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

samjhii yaa samjhaa? lo jii, yeh bhii ek mo’amma ban gayaa mere liye…pahle to **BLESSED2006 **kaa hii masala dar-pesh thaa ab ek aur aa gayaa! :cb: :smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

Mein larki huun :frowning: ..Larkon jesa mein nay kab pretend kiya ..Faakhta bhai :frowning:

Re: FUNNY GHAZAL…

hayeN? :o lo jii…ab yaqeen to aa gayaa magar mere kaan khaRe haiN aur aanKheN phaTii kii phaTii … lol

chaleN jii, ek inkishaaf to huaa…zabaan kii roo se maiN samjhaa thaa k DIVA laRkaa hotaa hai aur DEVI laRkii :smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

:omg::rotfl:

apko khalil nahi nazar aya khan bhi nahi dikha…bus nazar aya to fakhta…:smiley:

Re: FUNNY GHAZAL…

vo is liye k parinde ko pinjRe men band karnaa aasaan hotaa hai! :smiley: :cb:

Re: FUNNY GHAZAL…

^ BHAI kaha hai iss liey band kiya nahin jaa sakta agar aap meray woh hotay tou aap per bhi nahin maar saktay thay :stuck_out_tongue:

Re: FUNNY GHAZAL…

Loved itttttttt !!!

Re: FUNNY GHAZAL…

oh oh…yeh to pinRe kaa bhii darvaaza band kar diyaa! :cb: