funn-e-zindagi

kiyaa baadalo.n me.n safar zindagii bhar
zamii.n par banaayaa na ghar zindagii bhar

sabhii log jiine kaa fan jaanate hai.n
na aayaa hame.n ye hunar zindagii bhar

mohabbat rahii chaar din zindagii me.n
rahaa chaar din kaa asar zindagii bhar

Re: funn-e-zindagi

wohi na zameen b sahilooN jesi mili tu ghar kia banay gha wahan rait ka :frowning:
PS: :k:

Re: funn-e-zindagi

That Was Awesome !
Mere dil ki baatein keh deen.
Sho Shweet :-)

Re: funn-e-zindagi

rait kai gharoundai ke napaidge ka roona rounai waloun, kuch tawajah mouzoor lahroun pur bhi du.

Re: funn-e-zindagi


tu taala laga kur rakhana tha baat ko

wesse shukriya pasandeedgi ka

Re: funn-e-zindagi

:k: sahil bhai it,s good 4 days ka bhe khub raha aser

Re: funn-e-zindagi

Ham taalon pe yaqeen nahi rakhte bhaee. Kuch chhupaate nahi, sach bolte hain. Waise shukriye ka bhi aapne takalluf hi kia.
Barra naraaz sa shukria tha:(

Re: funn-e-zindagi

naraz sa shukriya kahan janab!! lai jee chandi kai warq mai lapait kur peesh kartai hain.. shukriyaa :hug: :flower2:

Re: funn-e-zindagi

Is shukriye ka shukria !
8-]