**Jaun bahir main kistrah ghar say
Khof k saanp lataktay hain dar say
dair thi ikk charagh bujhnay ki
chup gya chand raat k darr say
woh jo bichra to meri ankhoan ki
dosti ho gai samndar say
jabb bhi rastay main uski yaad aaey
baith jata hun lag k pather say
din guzartay hi aisa lagta hai
bojh jaisay uter gaya sir say
uski yaadoan k pass baitha hun
uth raha hai dhuwaan brabar say
saal k baad milnay ata hai
yehi shikwa hai bus december say**