Freedom of Expression

Re: Freedom of Expression

Ya masheehaayi usay bhool gai hai Mohsin
Ya phir aisa hai, mera zakhm hi gehra hoga :bummer:

Re: Freedom of Expression

Zakhm nishtar ka bhee ho gar gehra, bhar jataa hai
Yeh phool naa sahi, zubaaN pe teraY sehra ho gaa :hinna:
(AQ)

Re: Freedom of Expression

Maa,rika ab kay hua bhi toh phir aisa hoga
Tere darya pay meri pyaas ka pehra hoga :teary2:

Re: Freedom of Expression

:clap: Mohsin Naqvi?

Tum saath chalnaY kee qasam khaao tau
Hum tum hoNgey, hij’r kaa sehraa hogaa

(AQ) - I am creating fil badeeh ash’ar tau wazan kharab ho tau ma’azrat :slight_smile:

Re: Freedom of Expression

Beautiful Bhai Sahib :clap:

One more from Mohsin Naqvi’s Same

Kitnay jugnoo isi khuwaahish pay meray saath chaley
Koi rasta teray ghar ko bhi toh jaata hoga

Re: Freedom of Expression

meraY ghar kaY rastaY maiN kai nakh’L aayeN geY
jaanaY kinn saraaboN saY bhara tera rasta hogaa

-AQ :slight_smile:

Re: Freedom of Expression

Khoob bahaot khoob . . .

tumhari ankh se dil tak ka safar karna hai mujhko
ye kitni khoobsoorat manzilon ka rasta hoga

Re: Freedom of Expression

meraY dil maiN millaY gham-e-hijraaN kee kasak shayad tum ko
jaan lo, hamsafar bun kar gham-e-dauraaN saY nibaTnaa ho gaa

  • AQ :chai:

Re: Freedom of Expression

aaah Beautiful . . . Agar aap yahan hotay tau iss shair per aap ko khana khilayta . . .

agar tum rooth jao to humari jan nikal jaye
magar ye khud hi socho..tum me itna hosla hoga

Re: Freedom of Expression

awww khanaa:cb: maiN koi ghareeb miskeen hooN :bummer:

rooTh jaayeN hum, itna hosla hum maiN naheeN
aakhir dil ko tumhaaraY bhee dhaRaknaa hogaa :slight_smile:

  • AQ

Re: Freedom of Expression

yaar aap naY meri ghazal poori karwaa dee almost

buss abb matla' durust karnaa hai, maqtaY ko sochnaa hai aur baaqi nok palak saNwaarni hai :D

Re: Freedom of Expression

Hain :halo: yeh kia keh dia aap nain . . Aa’G baray mian :stuck_out_tongue: . . . Hamaray yahan jab kissi ki koi baat achi lagay tau ussay acha sa khana khilaya jaata hay :hoonh:

Chal’i’aiy hum bhi aap k kissi kaam aa’aiy

ayeenon ki ada na apnao
ayeeney to khafa bhi hotey hain

Re: Freedom of Expression

khafa honaa meri sarisht maiN naheeN shaamil
teraY ghar maiN kiss aur kaa aainah ho gaa :hehe:

Re: Freedom of Expression

Tabdeeli maa’zarat k sath

khafa honaa meri sarisht maiN naheeN shaamil
Magar Anwar shayd aa’ina dhundla gia hoga :stuck_out_tongue:

Re: Freedom of Expression

khafa honaa meri sarisht maiN naheeN shaamil
Zulfi offtopic dhaagaY par ab jhunjhlaa gayaa hogaa :D

Re: Freedom of Expression

Kabhi kabhar Khfa howa kijy phir log gain gy,
Kuch log ruth :naraz: kr bhi lagty hain kitny piyaryyyyyyyyyyyy:D

Re: Freedom of Expression

***Tallian *:clap: 4 jis ki lathi os ki bhains btany ky liy;Bas jahan lathi dykhi sar jhuka do smooth life tumhari muntazir hy:wink::clap:

Re: Freedom of Expression

Iss silsala'y Guftagu per jhunjhalana tau door
Anwaar Unwan say bahir Guftagu ka maza hi Juda hoga

Re: Freedom of Expression

Khoob kaha g . . Per log Shukar bhi ker saktay hain k Jaan Chutti so Lakhon Pa’aiy :cb:

Re: Freedom of Expression

Ap kia khfa ho kar ja rahy hain:faizy: