Forgive

Re: Forgive

Ji kisi ney app per ziadati ki ho tu sab se mushkil uskay liye dua karna lagta hay, tu agar app uski bakhshish hidayat or mein kheti hoon uskay liye jannat ul firdous mein janay ki dua kardeni chahye, kyun kay zarori nahi app ko moka mil jaye us per koi or ahsan karny ka tu dua behtreen hay, or kiya maloom app ney kisi kay sath kaisi ziadati ki ho or jab app per kisi ney ziadati ki ho tu jab app dua karty hain dosrey kay liye aesy tu farishty kehty hain same to you and ameen, tu yun yeh mamla dil ko sukoon deta hay.

Allah hamari maghfarat bakhshish kary agar kisi per rai kay danay kay barabar bhi zulm kardiya hay, sab se ziada khof isi chez ata hay mujhe. Allah apni panah mein rakhy Ameen na app kisi ki wajha se jawab deh hoon qayamat waly din na koi apki wajha se jawab deh ho, mamla dunya he clear hojaye.