Forgive

Re: Forgive

yeh us rishtay per depend kertay hai jo app ka us kay sath ho

mujhay Imam abu hanifa Rehmatullah ka waqiya iis per yaad Aa raha hay k un ka parosee ik kafir admi tha or saare raat saaz or sharaab ki mehfil jamata tha ,Imam abu hanifa rehmatullah k ley kaafe taqleef deh rehta tha woh waqt …ik din us kay ghar say koi awaaz na ayee …maloom kernay per pata chala k hawaldaar us ko pakar ker lay gayee k woh kion imam abu hanifa ko tang kerta hai

to Imam abu hanifa rehmatullah us ko khud churaanay gayee k is ko azaad ker do..or woh parosee App k is ammal per MUSLMAN ho gaya

mainy apnay aasatiza say yeh ammal bhi sunna hay jub koi tum say zyaadte karay to us k ley do Naffil perh ker us ka sawab us ko baksh do… or yeh bara he mushkil ammal ho ga ..lakin jub tum ker lo gay to apnay DIL ko bohat halka paao gay !