Tahurra
January 17, 2015, 3:49am
12
Re: Forgive
ik dua hay
Allahumma in’ne aaouzubika min’azzil’lati wal qil’latti wal faqree wa ann Azlimma Aow Uzlim’ma
is main wa ann Azlima Awo Uzlimma ka terjuma hay ka Allah humain bachaana is baat say k hum Zulm karain ya hum per zulm kiaa jayee
or ik hadees main hai
muslman ik soorakh say do daffa nahi dassa jaata
mukhtasar baat yeh k Muaaf kerna behtreen ikhlaaq ka hissa hay k Allah khud muaaf kernay ko pasand kertay hain to yeh siffat-e-ilaahiya hoyee
lakin** HER **jagah muaafe nahi hotee..kkuch maqaasid bohat azeem o shaan hotay hain un ko nusqsaan pohnchanay waloon k ley koi muaafe nahi
baqee sirf apay rishtay daaroon ki jahan tak bat hay to uss main silla rehmi ka hukam hay woh tum say taluq torain bhi to tum un say taluq jooro
lakin yahan bhi ulma-e-karam fermatay hain is ka maqsad yeh nahi k un k derwazayy per ja ker baith jaao bulkay yeh app ka behaviour aysa ho k jub un ko zarroorat ho to unhain yaqeen ho k app un ki madad kerain gay
dost ahbab yani social circle is main condition hay k ik admi k baray main app jan chuko k is ki adat hee hay dhoka daynay ki to app us say apna muamla alag ker lo ..or agar app samjhtay ho k anjaanay main dosray say ghalte hoyee hay to muaaf ker do or taluqaat bahal rakhain
mera apna Ammal is main kaisa hai ager app yeh poochna chahtay hain
to main muaaf ker daytee hoon bohat jaldee ..lakin bhoolnay main baaz oqaat bohat waqt lagta hai …agercha main koi reaction nahi daytee lakin ik distance maintain ker laytee hoon…bajaye munafiqat ikhtyaar kernay k dil main ghussa ho ,peeth peechay gheebat ho or moun per muskarhat ho…kion k main abhi bohat kamzor hoon…
lakin Kamleen aysay bhi hain jo muaaf bhi kertay hain or do gunna berh ker Ahsan bhi kertay hain !
app kay sath agar kisi ney ziadati ki ho tu maaf kardeinay kay baad kiya ahsan hay jo app kar sakty hain us bandy per? Sab se bara ahsan kiya hosakta hy?