For the people of America, Particularly who reside in Washigton DC

This Poem is for those people who lost their loved ones in the Vietnam War. People who reside in washington DC, must have seen a black wall that was built in the memory for those American soldiers who died in Vietnam war. its a bit long but it will touch you hearts.

kul washigton shehur ki hum nay saair buhat ki yaar
goonj rahi thi saari jug main jis ki jay jay kaar
mulko mulko hum ghoomay thay, bunjaaro ki missil
laikin us ki sujdhuj suchmuch dildaaro ki missil

rooshnio kay rung buhay yu, rusta nazar na aaey
mun ki aankho wala bhi yeha andhaa ho ho jaaey

baala baam, chiraaga rustay, log bhurray bazzar
jaagti aankho say dekha hay khuwaabo ka sansaar
aik safaid huwalaili ji main buhat burri sarkar
yehi kurrain sodaagur choori qomo ka beupaar
yehi pur jaadogur betha jab kuhi door hilaaey
hur basti naagaasaaki herosheema bunjaaey

issi safaid huwalaili say kuch door hi ik KAALI DEWAAR
logo ki woh bheer luggi thi chula na dushwaar
is kaali dewaar pur kandha day kur huzaaro naam
in naamo kay beech likha tha shoda-e-vietnam

door door say jama huay thay tarh tarah kay log
aankho aankho viraani thi chehro chehro soog
baykul behnay,ghayal maaey, khurl laati bay waaey
saajun tum kis dais sudharay, poochain mehboobaaey
apnay piaaro dildaaro kay oojhul mukhra dhoondain
is kaali dewaar pur un kay naam ka tukra dhoondain

dilo main ghum, pulko pur shabnum, haatho main phool uthaaey
is naamo kay qubrustan ka bhulla bhaid koi kia paaey
na turbut na kutba koi, na huddi na maas
phir bhi paagul naaina ko thi pia millun ki aas

kuhi kuhi dewaar main chaspa aik safaid ghulab
jaisay koi ma ka koi aanso, jaisay baap ka khuwab
sabhi kay dil main kaanta bun kay khutkay aik sawal
kis kaaran mitti main milaaey heero jaisay laal

peelay dais(Vietnam) pur hum nay kia kia andhiaaray bursaaey
us kay jiaalay to kut mur kay rooshnia lay aaey
laikin itnay chaand guva kur hum nay bhala kia paaya
hum badqismat aisay jin ko dhoop milli na chaaya

dukh mooti lay kur haasil ki yey kaali dewaar
yey kaali dewaar jo hay bas ik khaalo dewaar
yey kaali dewaar jo hay naamo ka qabrustan
washigton shehur main duffun hay kis kis kay arman

Re: For the people of America, Particularly who reside in Washigton DC

Bohat zabardast nazm hai...This portion is which I like the most.
Waaqaee taaqatwar log kaise apne matehton ko apni taaqat barrhaane k liye andhi aag mein jhonk dete hain...Its sad...


Thanx alottt for posting....
*Khush rahiye...:) *