for some1 special

kise ki soch mai gum kyon hain hum
woh lagtay kyon hain itnay pyarey
chand lamhat bhi un kay beghair beet kyon nahi jatay,
lagtay hi kiya hai woh hamaray!?!

some1 some1 karke bolatay hain hum unko
aisi hi kyon din beet jatay hain sarey?
muqaddar ki likhi hoyi taqdeer ko hum badal na bhi payin to
janay asmaan mai chupay hoye sitarey kiya de rahay hai isharay!

unki ankhoon mai dekhi hai aik roshni, aik chamak
na janay in ankhoon mai itnay haseen kyon hai nazaray

aj kal unke ilawa koyi dil o dimagh mai basta hi nahi
is liye to hum nay likh dalai hain itnay afsanay!

likhnay pay aye hum to unke barayme likhtay hi jayain
itni tareef soni hai humnay unki keh
becharay hum to apne dil ko hi kho bhetay!

Re: for some1 special

buhat khoob aisha

Re: for some1 special

thanx sunny!