For Some one......

Hi yah eid aur teri yaad ka fasana dil mein..
URZ hai!!!

main aaiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main tootta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mairi rehti thi dhoop main shaid Ajnabi
main lautta tha to chaon mujh per nikal rakhti thi

From the Desk of Dr. Adnan Nadeem Dani urf Ajnabi4ever

Re: For Some one......

very nice janab :)

Re: For Some one…

Wah… Zbardast… Doctor sahab… Buhut Achay… :flower1:

Re: For Some one......

buhat khoob janab

Re: For Some one......

beautiful Adnan Sb.