…Ghazal…
**Tujh se mil kar tou ye lagta hay ke Ajnabi Dost
Tou meri Pehli Muhabaat thi meri Aakhri Dost
Loag har baat ka Afsaana bana detay haiN
Ye tou dunya hay meri jaaN, Kai Dushman kai Dost
Teray Qaamat se bhi lipTi hay amarbail koi
Meri Chahat ko bhi Dunya ki nazar kha gayi Dost
Yaad Aaye hay tou phir TooT ke yaad aayi hay
Koi Guzri hui Manzil, Koi Bhooli Hui Dost
Ab bhi aye ho tou Ehsaan tumhara Laikin
Wo qayamat jo guzarti thi guzar bhi gayi Dost
Teray Lehjay ki Thakan maiN Tera Dil Shamil hay
Aisa Lagta hay, Judai ki ghaRi Agayi Dost
Baarish-e-Sang ka mausam hay meray shehr maiN tou
Tou ye sheeshay sa badan le ke kahaaN agayi Dost
MaiN ussay Ehd Shikan kesay samajh looN Jiss ne
Aakhri Khatt maiN ye Likha tha, faqat “Aaap Ki Dost”.
**