A poem for Nobu…although she is far too young as yet to read it!
Pyari si ik nanhi pari hai
Kehtey hain uss ko …
Nanhey parindey subah ko aa kar uss ko geet sunnatey hain
Naghmey sunna kay, naach dikha kay uss ka jee behlaatey hain
Aankhein jaisay Jugnoo chamkain raat ko payarey baghon main
Mor bhi gaain (raqa dikhain)apney anokey raggon main
Titlee kay rangon say anokha uss ki har muskaan ka rang
Badal kay tukdon par khelay, ourhey sunehri dhaan ka rang
Bulbul say koel say meethi, iss ki nanhi si awaz
Barf kay gaaley, taaron kay des say aain sunney uss ka saaz
Paidon ki thandi chhaaon main, neend kay meethay gaaon main
Pariyon jaisi sakhiyaan aain, jhoola jhulaain banhon main
Ghar bhar ki aankhon ka tara, sab ki raj dulari hai
Kaliyon say, phoolon say, rangon say mujh ko jaan say pyaari hai