hayaa
1
socha nahi acha bura, daikha suna kuch bhi nahi
maanga khuda say raaat din, teray siva kuch bhi nahi
daikh tujhay, socha tujhay, chaaha tujhay, pooja tujhay
meri khata, meri wafa, teri khata, khuch bhi nahi
jis par hamaari aankh nay motti bichaaey raat bhar
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/crying.gif
bhaija wohi kaaghaz hamnay likha kuch bhi nahi
ik shaam ki dehleez par baithay rahay woh dair tak
ankhon say ki baatain buhut, munh say kaha kuch bhi nahi
do chaar din ki baat hay, dil khaak mai so jaaey ga
jab aag par kaaghaz rakha, baqi bacha kuch bhi nahi
ehsaas ki khusbu kahaan, avaaz kay jugnu kahaan
khamosh yaadon kay siva, ghar mai raha kuch bhi nahi
Bashir Badar
In me, more than me..
nice hayaa bitttiya.. hmm can i read it this too....
mairay dill mairay mussafir
ammarr
3
Dhoop
4
do chaar din ki baat hay, dil khaak mai so jaaey ga
jab aag par kaaghaz rakha, baqi bacha kuch bhi nahi
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
wah bohat khoob…
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…
Really nice Hayaa jee
Pak Artist
"Life becomes harder for us when we live for others, but it also becomes richer and happier."
-Albert Schweitzer
ASA
6
Wah g Wah! bouhat he zabardast
http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif
Koi to ho jo mere wehshatooN ka saathe ho