ibtida-e-ishq ki soghaat liye phirta hun
main wo shakhs hun jo dil main har baat liye phirta hun
ibtidaa to kabhii huii thii ab to ‘intihaa-e-ishq’ hai
**
dil-e-bayjaan kay dard-o-ruswaai ki qasam..
main jeet ke bhi piyar ki maat liye phirta hun**
aaaaaawwwwwwww…mujhe to lagtaa hai k maiN haar ke bhii jeet gayaa kiuN k uskii jeet meN hii merii jeet hai!
**
ye sauda-e-dil jo kiya, khasara hi hua
main piyar main kitna bara ghaat liye phirta hun..**.
yeh to saudaa e junuuN thaa jo liye phirtaa rahaa mujhe kabhii sahraaoN meN kabhii daruaaoN meN to kabhii hawaaoN meN
maashaa Allah, bahot achchhaa kiyaa aur is ‘aamad’ ko aate rahnaa chahaiye aur iskii Hausala afzaaii ham sab zaroor karte raheNge, iA! aur na jaane kaun kaun se rustam / rustamah GS pe chhupe hoNge/gii…unheN unke biloN se kaise nikaalaa jaaye?
andar ka fankar nikala nahin jata khud bahar aajata hay...... waqt dijye.. hum to bohat purani shaaira hain aur kitaab bhi hay chapnay ko..over 100 poetries likh chukay hain par dil kerta hay apni hadd takk mehdood rakhen :@:
andar ka fankar nikala nahin jata khud bahar aajata hay...... waqt dijye.. hum to bohat purani shaaira hain aur kitaab bhi hay chapnay ko..over 100 poetries likh chukay hain par dil kerta hay apni hadd takk mehdood rakhen :@:
aaaaaaawwwwwww...nahiiN nahiiN baba...shaa'ir kaa kalaam qaum kii amaanat hotii hai jise qaum tak pahoNchaanaa shaa'ir kaa farz hai! :) bas ab aap post kartii rahiiye, iA ham lutf andoz hoNge! :)
iskaa matlab kia hotaa hai? mujhe nahiiN pataa! cursor is par rakkhaa to likh kar aayaa “pagal”…ab yeh bataayeN k paagal kaun hai? maiN, aap yaa paRhnewaalaa? :c: wazaaHat talab baat hai!
maira aisa koi irada nahin tha, ye to wo shakal thi jo ye bata rahi thee ke aapka mashwara zair-e-ghor hay, jaan ki aman paaon to koshish ki jasakti hay yaha do char kalaam paish hi kar daalun… magar… mmmmmm…sochungi
aray aap to pakistan main bethen hain shayad, haan wahan to roza khul gaya hay
oh achchhaa…waah bhai, waah…aap to saHeeH ma’noN meN ‘chhupii rustamah’ nikliiN!..
share nahiiN kareNgii achchhaa to phir jab album market meN aa jaaye to bataaiyegaa are baba…GS waale koii langoor to nahiiN…unheN bhii sunaa deN…vo bhii daad de deNge… do NOT hesitate to share…it’s ok baba!