Kamra-e-Imtihaan
Bey Nigaah AaNkhooN sey daikhtey haiN perchey Ko
Bey khayaal hathooN sey
Un-baney sey lafzzon per UngliyaaN ghumatey haiN
Dairey banaatey haiN, haashiye lagatey haiN
Ya sawaal naamey ko deikhtey hi jaatey haiN
Har taraf kun-akhiyoon sey, bach bacha key taktey haiN
Doosroon key parchoon ko, raahnuma samjhtey haiN
Is tarah key manzar maiN imtihaan gaoohoon maiN deikhta hi rehta hooN
Naql kerney waalooN key, nit naye tareeqooN sey
Aap lutf laita hooN, doostoon sey kehta hoon
Aaj dil key Aangan main ik khayaal aaya hai
sainkRooN sawaaloon sa, ik sawaal laaya hai
Waqt ki adaalat maiN, zindagi ki soorat maiN
Ye jo teerey haathoon maiN, ik sawaal naama hai
Kis ney banaaya hai, kis liye banaaya hai
Zindagi ker perchey key
sab sawaal laazim haiN
sab sawaal mushkil haiN
Bey Nigaah aaNkhooN sey daikhta hooN perchey ko,
Bey Khayaal haathooN sey un-baney sey lafzoon ungliyaan ghumata hooN
Dairey lagaata hooN, haashiye lagaata hooN
Ya Sawaal Naamey ko deikta hi jaata hooN
Deikhta hi jaata hooN