Re: Food Exchange
yes…yeh sab maiN ne Khud kiyaa huaa hai…mujhe yaad hai jis jis ghar se charpaaiyaaN, bistar vaGhaira aate unke naamoN kii chippiyaaN maiN charpaaii ke paaye ke neeche leii lagaa kar lagaataa…
…gaaoN meN ab bhii Khuloos hai aur vahaN abhii bhii aHsaas se yakjehtii hai…yeh shaadiyoN par rishtoN ko kapRoN kaa joRoN kaa len den, muNh dikhaaii, nevtaa [cash] denaa sab isii liye thaa k har koii shaadii attend kar saktaa aur laRkii ke vaaledain kii madad bhii ho jaatii…yahaN tak k jiskii iste’daad na hotii gaaoN ke sabhii logoN ko mada’00 karne kii to unke ghar bhii laRkii ke nikaah ke waqt saarii biraadarii ikaTThii hotii to give him support.
ek maze kaa kaam hai jo maiN kiyaa kartaa thaa aur vo bahot mazHaqa Khez bhii thaa…aur vo thaa…burq’e ikaTThaa karnaa! yeh ek lambii kahaanii hai, phir kabhii sahii ![]()