...Flooder-e-Azam...

amma ye bhi khoob kahi… agar kaneezain nahin dainin to na dain, humain umer raseeda banany ki koi zaroort nahin… abhi to hum mashallah jawan hain aur sehray kay phool khilnay ka intezaar kar rahy hain. nick main moujood chacha per na jaain, wo to hum nain khud ko nazr-e-bad say bachany kay liye lagaya hova hai

doosri baat, agar hum bil-farz-e-mahaal maan bhi lain kay hum umer raseeda hain tab bhi aap ko chahiye kay humain jawan kaneezain day kar khud begum sahiba say khidmat kerwain kyon kay jawan kaneezon kay aik to haath naram hoon gey doosray unn ko pata ho ga kay umer raseeda logon ki kaisy araam aur payaar say khidmat kartay hain. aaj kal kay jawan bhi ajeeb hain, apnay liye dunya bhar ki sahooliyaat jama kar kay bhoron ko sabar ki talqeen kartay hain