Firaq E Yaar Ki Barish

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam
Hmaray Shahar Mein Utra Kamaal Ka Mousam

Wo Ek Dua Jo Meri Na Muraad Lout Ayi
Zuban Say Oth Gaya Phir Sawaal Ka Mousam

Bohat Dinon Say Merey Zahan K Darichon Mein
Thahar Gya Hay Tumharay Khayaal Ka Mousam

Jo Bay Yaqeen Hon Baharain Ujhar Be Sakti Hain
Too A Kay Dekh Merey Zawaal Ka Mousam

Mohabatain Be Teri Dhoop Chaon Jaisi Hain
Kabhi Yeh Hijar,Kabhi Yeh Vasaal Ka Mousam

Koi Mila He Nahi Jis Ko Sonptay Mohsin
Hum Aisay Khavab Ki Khushboo,Khyaal Ka Mousam

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

Firaq E Yaar Ki Barish,Malaal Ka Mousam
**Hmaray Shahar Mein Utra Kamaal Ka Mousam

khe.. suwaa.. siyapa ee ae :bummer:
**

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

^ tuaadi Punjabi de sadqe :wub:

poetry se khoob to apki ye Qatil Punjabi hai :sid:

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

han sach me
exellent :lajawab: pakii te asal(suchii yeeeee agaya acha wala lafz)
shabash jiia

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

mausam dee tey gul hee na karo, bauhat kharab wey. :emmy:

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

ae kehRi nai gal ae… tuwade koloon te sooraj nas ke tur gaya

Re: Firaq E Yaar Ki Barish

mujhe laga barish ka mousa ka intezaar hu raha hai :naraz: