**Dey gaya mujhey woo shaks Talkhiyan Zamaney ki
Aao aik kooshish ker lein usko bhool janey ki
Be-Rabt si Batein uski be-yaqeen sa lehja tha
Baat woo kia kerta tha zindagi nibha'ney ki
Dekh ker kissi ko aaj yaad aata hey woo shaks
Jiss ki her adaa hoti thi bhool bhool janey ki
Jab gaya tu uss ney Murr ker phir mujhey nahee dekha
Dastaa'n joo sun li hoo gi Path'raey janey ki
Aaj kal woo mujh ko aksar yaad aata hey Saahil
Aarzo Mujhey thi Jiss key choor ker na janey ki **
**
Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo
Bhallay cheen lo mujh se meri jawaani
Magar mujh ko lauta do bachpan ka saawan
Woh kaghaz ki kashti woh baarish ka paani
Mohallay ke sab se nishaani puraani
Woh burreyya jissay bachay kehtay thay naani
Woh naani ki baatoon mein pareyoon ka daira
Woh chehray ki jhurreyoo mein sadeyoon ka phaira
Bhulaye nahee bhool sakta hai koi
Woh chotti si raatain woh lambi kahaani
Karri dhoop mein apne ghar se nikalna
Woh chireyya woh bulbul woh titlee pakarna
Woh gureyaa ki shadi mein larna jhagarna
Woh jhooloon se girna woh gir ke sambhalna
Woh peetal ke challoon ke pyaray se tohfay
Woh tooti huwi chooreyoon ki nishaani
Kabhi rait ke ounchay teeloon pe jaana
Gharounday banaana bana ke mitaana
Woh khwaboon khiloonoo ki jageer apni
Woh masoom chaahat ki tasveer apni
Na duniya ka gham thaa ni rishtoo ke bandhan
Bari khoobsurat thee woh zindagaani
Yeh daulat bhi le lo yeh shohrat bhi le lo
Bhallay cheen lo mujh se meri jawaani
Magar mujh ko lauta do bachpan ka saawan
Woh kaghaz ki kashti woh baarish ka paani