Few from Faiz Shb..................

kab yaad me.n teraa saath nahii.n kab haath me.n teraa haath nahii.n
sad shukr ke apanii raato.n me.n ab hijr kii koii raat nahii.n

mushkil hai.n agar haalaat vahaa.N dil bech aaye.N jaa.N de aaye.N
dil vaalo kuuchaa-e-jaanaa.N me.n kyaa aise bhii haalaat nahii.n

jis dhaj se koii maqtal me.n gayaa vo shaan salaamat rahatii hai
ye jaan to aanii jaanii hai is jaa.N kii to koii baat nahii.n

maidaan-e-vafaa darbaar nahio.n yaa.N naam-o-nasab kii puuchh kahaa.N
aashiq to kisii kaa naam nahii.n kuchh ishq kisii kii zaat nahii.n

gar baazii ishq kii baazii hai jo chaaho lagaa do Dar kaisaa
gar jiit gae to kyaa kahanaa haare bhii to baazii maat nahii.n

vo log bahut Khush_qismat the
jo ishq ko kaam samajhate the
yaa kaam se aashiqii karate the
ham jiite jii masaruuf rahe
kuchh ishq kiyaa kuchh kaam kiyaa

kaam ishq ke aa.De aataa rahaa
aur ishq se kaam ulajhataa rahaa
phir aaKhir tang aakar ham ne
dono.n ko adhuuraa chho.D diyaa

kuchh muhatasibo.n kii Khilavat me.n kuchh vaa-iz ke ghar jaatii hai
ham baadaa-kasho.n ke hisse ko ab jaam me.n kam kam aatii hai

yuu.N arz-o-talab se kab ai dil patthar-dil paanii hote hai.n
tum laakh razaa kii Khuu Daalo kab Khuu-e-sitamagar jaatii hai

bedaad-garo.n kii bastii hai yaa.N daad kahaa.N fariyaad kahaa.N
sar phoratii phiratii hai naadaa.N fariyaad jo dar dar jaatii hai

haa.N jii ke zayaa.N kii ham ko bhii tashviish hai lekin kyaa kiijiye
har raah jo udhar ko jaatii hai maqtal se guzar kar jaatii hai

ab kuuchaa-e-dilabar kaa rah-rau rahazan bhii bane to baat bane
pahare se uduu Talate hii nahii.n aur raat baraabar jaatii hai

ham ahal-e-qafas tanhaa bhii nahii.n har roz nasiim-e-subah-e-vatan
yaado.n se muattar aatii hai ashko.n se munavvar jaatii hai

very nice selection Dilsay :k:

nice dilsay :)

Ver Nice :k:

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
phir aaKhir tang aakar ham ne
dono.n ko adhuuraa chho.D diyaa
[/QUOTE]

Dilsay issi baat par to Aadhoori nay gup shup ki mehfil aadhori chorr dii, aap phir say dohra rahay ho ... ab kia woh bechari baqi ka aadhora bhi chorr day.

Mari wajaha sa koyee na yaha say giya hai aur na he jaya ga.... Azad jee agar aap mari wajaha say jain gay tu main double qurbani karoon ga...

bohat hi zabardast dilsey…really enjoyed readind ..:k:

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Mari wajaha sa koyee na yaha say giya hai aur na he jaya ga.... Azad jee agar aap mari wajaha say jain gay tu main double qurbani karoon ga...
[/QUOTE]

haiiiiiiiii Dilsay jee kia jaba hay qurbani ka, aisa jaba kaii bar qurban honay kay baad hi daikhnay main ata hay .... aap zehmat na karain hum waisay bhi ja hi rahay hain ....