Female vs Male bait bazi!....

yonhi dukh kisi ko dayna nahi khoob, warna kehta
keh meray aadu ko yaa rub milay meri zindagani

yaaro kisii qaatil se kabhii pyaar na maa.Ngo
apane hii gale ke liye talavaar na maa.Ngo

Woh our hongay jinhain mout aagaii hogi
Nigah e yaar say paii hay zindagi main nay

yaad aata ha roz o shab koi **
**hum se rotha ha be-sabab koi

"Ye"

Yeh masayl e tasavaf! yeh tera bayan Ghalib
hum tujhay walii samjhtay jo na bada khwar hota

aik duniya muntazir hai aur teri bazm main
is tarah bethay hain hum jese kahen jana nahi

(Ahmed Faraz)

:D

soowie :blush:

yaan sar e purshoor be-khwabi say tha
waan, woh farq e naaz mehv baalesh e kam khwab tha

Aey haasil-e-khaloos batLla kia jawab dooN
Duniya ye poochti hai k maiN keoN udaas hooN.

Na kahan iss rang say khoon na beh tapaknay laga
dil keh zooq e kawish e nakhun say lizat yaad tha

Ae mohtasab-e-shahar nahiN tujh se shikayat
ham khud hi dil-o-jaaN ki tabaahi ka sabab haiN

(Mohsin Naqvi)

nah hoga bayabaan mandagi say zooq e kam mera
hubab e mojh e raftar hay naqsh e qadam mera

Ab dekhiye kis kis pe tere gham ka karam ho
warna teri chaahat ke gunahgaar to sab hain

(Mohsin Naqvi)

Naqsh faryadi hay kiss ki shokhii e tehreer ka
kagazi hay perahan her paikar e tasweer ka

Ik Izteraab sa rakhtaa hooN apne pehloo meiN
SakooN meiN Rang-e-kHatar saath le ke chaltaa hooN

na ghar baar na ko_ii Thikaanaa Khaanaabadosh hai.n
apanaa kaam hai chalate jaanaa Khaanaabadosh hai.n

Nahain maloom kis kis ka lahou panni howa hoga
Qayamat hay,sar shaq alooda hona teri mishgaan ka

kis ka javaab douN?

[QUOTE]
*Originally posted by ~Nazish~: *
kis ka javaab douN?
[/QUOTE]

Jo aap ko zidah azeez hai.............

[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *

Jo aap ko zidah azeez hai.............
[/QUOTE]

LOL
jis ne pehle reply kiya tha uska deti houn :p

Na-khush haiN kabhi but, kabhi naaraaz haram hai
ham dil~zadagaaN ka na khuda hai na sanam hai

(Ahmad Faraz)