mujhe teen baatoN kii bahot yaad aatii hai:
-
sardiyoN meN sabH savere vo deevaar kii aaR meN dhoop meN baiTh kar dhoop ke maze lenaa, muNh se steam engine kii taraH bhaap nikalnaa aur chai kaa pyaala haath meN honaa
-
vo kuyeN [well] ke paas baiThnaa jahaN saare gaaoN ke laRke jam’a hote the aur muKhtalif activities men busy hote jaise koi nahaa rahaa hotaa thaa to koii kapRe dho rahaa hotaa to koii apne maveshiyoN ko paanii pilaa rahaa hotaa. ham log vahaN baiTh kar ghanToN baateN kiyaa karte the…maiN kabhii kuyeN par baiTh kar nahiiN nahaayaa…mujeh yeh baat baRii ma’yoob lagtii thii k banda kuyeN par sar e baazaar nahaaye.
-
ham log gaaoN ke Railway Station par jaate subH o shaam…ek train subH meN ruktii thii aur ek train shaam meN…aksar train late hotii to ham logoN kii maHfil jamtii…alaao lagaate jaaRoN meN aur chai bhii banaayii jaatii…
…kia zamaane the vo bhii, aaj bhii maiN bahot miss kartaa huN!
**you can take a man out of a village but you can’t take the village out of him! **