Fazkurooni Azkurkum

** FAZKUROONI AZKURKUM**

Paas tum karo mera zikar maiN tumhara zikar karta hooN. Sufiya karam fermataiN haiN kay,
Fazkurooni azkurkum

kay maini (meaning) haiN Allah Ta’ala fermata hay. Tum mujhay muhabator shouq say yaad karo maiN tumhaiN wisal or qurb say yaad karooN ga. Tum mujhay tareef or bazurgi say yaad karo kay maiN tumhaiN ata or jaza say yaad karooN ga. Tum mujhay touba say yaad karo gay maiN tumhaiN bahshish-e-guna say yaad karooN ga. Agar tum dua say yaad karo gay maiN tumhaiN ata say yaad karooN ga. Agar tum shermindagi say yaad karo gay maiN tumhaiN faida or nafa rasai say yaad karooN ga. Agar mujhay na bhoolo gay or yaad karo gay to maiN tumhaiN Eman walooN kay saath yaad karooN ga. Agar tum khilwat maiN yaad karo gay to maiN tumhaiN jilwat maiN yaad karooN ga. Tum majmaiN maiN Mujhay yaad karo gay maiN is say behtar majmaiN maiN tumhaiN yaad karooN ga. (yani farishtay, malaikha…)
Agar tum mujhay dill say yaad karo gay maiN tumharay liya perday utha dooN ga. Agar tum gunahooN ko turk kaar kay meri yaad maiN raho gay to main tumhaiN apni ataooN say yaad karooN ga. Tum meri khatir batin ki safai say koshish karo gay to maiN tum pe apni naiymat poori karooN ga.

Subhan Allah.

jazaklallah khaiir.......

^---My pleasure:)

JazakAllah.

Sufia-E-Karaam nei deen kee baree khidmat kee hei.