FazaaoN ko phir wajah si mil gayee musKuraanay ki

FazaaoN ko phir wajah si mil gayee musKuraanay ki
Afsurda baadloN main say chaand phir muskuraya hai
Takhleeq mairee main aanay lagayaN hain phir shokhioN kay dam
LaboN pay phir koi mast nagma ubhar aayaa hai

Phir say gaataa hai malhaar saaz-e-zeest mera
Phir say chaai hai takhayyul pay aarzuoN ki ghataa
Jhoomti bal khaati hai barq umeedoN ki
Phir say wafa ki zard aarizoon main noor bahaa

Meri tanhai bhi soi hai aaj umron kay baad
Main khud say bhi mila huN baad muddat kay
Dard ki aankhoN main bhi haiN aaj massarrat kay aaNsu
Tamanna ko milay phir say pairahan haqeeqat kay

Besood nahi muhabbat ki wus_atain
Dil phir yeh man nay ko karta hai
Khirad phir be-bas si khari hai
JunooN phir jaagnay ko karta hai

Aaj tu aaee hai to pathra gayee hai shiqwoN ki zubaN
Kho gayay haiN giloN kay bol kahiN khalaaoN main
Meetha taana sa daita hai beetee udaasi ka chehra-
“Bhool gaya hai “sagar” usay wasl ki shua’oN main”

Abhi kuch pal main toot jaayaga waqt-e-wasl ka dum
Phir say laut jayaiNgay hum liyay apni majboorioN ka daamun
Tu meri ho kar bhi meri na hogi kabhi maloom hai mujhko
Teri maajooriaN hai yeh duniya kay bemaar aqaayed
Main bhi mujboor hooN haalaat kay haathoN magar humnafas meri-
Aati raha karo milnay jaB talak mumkin hai
KyuoN na tab talak ishq ko apnay wajah milti rahay jeenay ki

Nice:flower1:..

thnx HeArT HaCKeR :flower2: