Faysla

**
Bada Dushwar hota hai zara sa faisla karna
K Jiwan Ki Kahani Ko,
Baiyaan-e-Bezubani Ko…
Kahan Sey Yaad Rakhna Hai
Kahan Sey Bhool Jana Hai
Kisey Kitna Btana Hai
Kis Sey Kitna Chupana Hai
Kahan Ro Ro k Hansna Hai
Kahan Hans Hans K Rona Hai
Kahan Awaz Deni Hai
Kahan Khamosh Rehna Hai
Kahan Rasta Badlna Hai
Kahan Sey Loat Ana Hai
Barra Dushwar Hota Hai
ZARA SA FAISLA KERNA.**


Restored attachments:

Re: Faysla

Zara saa faisla and zara sa fasla kafi faraq daalta hai

Re: Faysla

Ji sahi kaha aap ne. Saleem Kosar apni nazm ki itni achi daad padhen ge to boht khush honge.

Re: Faysla

one of my fav :k:

Re: Faysla

sahee kaha:teary1: saleem bhae

Re: Faysla

Nice one