Favourites

Post any of your 10 favourite pieces of poetry

Re: Favourites

aik nahi do nahi teen nahi aik sath 10 10 favourites :smack:

Re: Favourites

Tumhain bakshi hai dil pe hukmarani
AUR KIA DETAY?

Bas yehi thi hamari rajdhari
AUR KIA DETAY?

Sitaroon se kisi ki maang bharna ek fasana hai
Tumhare naam likh di zindagani
AUR KIA DETAY?

Bichartay waqt us ko ek na ek taufa to dena tha
Hamare pass thaa ankhon main pani
AUR KIA DETAY?

Re: Favourites

Here comes my 1st Favourite Ghazal :

kabhii aah lab pey machal gai kabhi ashk aaNkh se dhal gaye
wo tumhaary gam ky chiraag haeiN kabhi bujh gaye kabhi jal gaye

meiN khayaal-o-khvaab ki mahafileN na baqadr-e-shauq sajaa sakaa
tumhaari ik nazar ky saath hi mery sab iraadey badal gaye

kabhi rang meiN kabhi ruup meiN kabhi chaaoN meiN kabhi dhuup meiN
kaheN aaftaab-e-nazar hiN wo kaheN maahtaab meiN dhal gaye

jo fanaa huye gam-e-ishq meiN unheN zindagi kaa na gam huwa
jo na apni aag meiN jal saky wo paraai aag meiN jal gaye

hy unhy bhi meri tarhaN junuuN to phir un meiN mujh meiN ye farq kyaa
meiN giraft-e-gam sy na bach sakaa wo huduud-e-gam se nikal gaye

beIng lonelY !!! siD !!!

Re: Favourites

OHHH bicharnay ke siwa rakha kya hai :teary2: :teary2:

Re: Favourites

lol

Re: Favourites

Mere honton ke mehaktay hue naghmo par na ja
Mere seenay main kayi aur gham bhi paltay hain
Mere chehray par dikhaway ka tabassum hai magar
Meri aankhon main udaasi kay diye jalte hain...:(

Re: Favourites

Diye Jaltay Hain Wah kya kehna :k:

Re: Favourites

Kamal-e- zabt ko khud bhi to azi
Main apne hathoon se us ki dulhan sajaoon gi
Supud kar ke usay chandni ke hawalay
Main apne ghar ke andheroon ko laut aoon gi

Us ne mujh ko zindagi kaha.. kia us ko mera bhi aetbaar nahin hai?

Re: Favourites

Wo Qissay or hon gay jin ko sun kar neend aati hai...!
Tarap jao gay Kaanp utho gay sun kar dastaan meri.!

beIng loNely !!! siD !!!

Re: Favourites

Very nice :) abhi 8 to go :p

Re: Favourites

outstanding :k:

Re: Favourites

101 % Suits My Situations

Haaye Ri Majbooriyaan Tark-e Mohabbat Ke Liye
Mujh Ko Samjhate Hain Wo Aur Un Ko Samjhaata Hoon Mein

Teri Mehfil Tere Jalvay Phir Taqaaza Kya Zaroor
Le uthaa Jaata Hoon Zaalim Le chala Jaata Hoon Mein

Ek Dil Hei Aur Tuufaan-e Havaadis Ay "Jigar"
Ek Sheeshaa Hei Ke Her Patthar Se Takaraata Hoon Mein

beIng lonEly !!! sid !!!

Re: Favourites

Chaman ki baharoon main tha ashyana Najane kahan kho gaya woh zamana Tumhain bhulane ki main koshish karoon gi Yeh wada karo keh na tum yaad ana :)

Re: Favourites

bussiness ho raha hai kya :hehe:

Re: Favourites

Dekhatay hain sab door say rasta
Koi ksi kay saath do kadam chalta nahin
Jalati hai duniya to jaltay hain dil
Koi apni marzee say jalta nahin

Re: Favourites

Aap ko pata chal gaya :stuck_out_tongue:

Re: Favourites

Har phool ki kismat main nahin naz-e-urosa Kuch phool to khilte hi mazaroon kaliyae hain :)

Re: Favourites

haathoon pay
kitaaboon pay
darakhtoon pay

kisi ka naam likhnay say
koi apna nahi hota

naam say naam jorna
itna aasaan nahi hota

aasmaan ka faisla hay yeh
zameen par nahi hota… <?xml:namespace prefix = o ns = “urn:schemas-microsoft-com:office:office” /><o:p></o:p>

Re: Favourites

Ghalat shair hai madam ye

Sahi Shair Ye Hai
Anaa naa mairi qaber pay hamraah-e- raqeebaan
mordoun ko musalmaan yoon jalaya nahi kertay
Aadaab