Favourite Movie Dialogues....wah wah!

Caller: hukm huwa hai ke Anarkali divan-e-khaas mein haazir ho!
AKbar-e-Azam: humein yakin hai ke qaidkhanay ke khawfnaak andheroN ne teri aarzoo’on mein woh chamak baqi na rakkhee hogi jo kabhi thi!

Anarkali: Qaidkhanay ke andhere kaneez ki aarzoo’on ki roshni se kam thay!
AK: andhere aur baRhaa diya jaayeinge!
An: aarzu’ein aur baRh jaayeingee!
AK; Aur baRhti huwee aarzu’on ko kuchal diya jaayega!
An: aur zill e ilahi ka insaaf?
Ak: Hum ik lafz sun-na nahin chahitay! Akbar ka insaaf uska hukm hai! Tujhe Salim ko bhoolna hoga!
An: Bhoolna hoga?
Ak: Yaqeenan! Aur sirf itna hi nahin! Usse yeh bhi yaqeen dilana hoga ke tujhe us se kabhi muhabbat nahin thi!
An: Jo zabaan unke saamne muhabbat ka iqraar tak na kar saki ho woh inkaar kaisay karegee?
Ak:
tujhe Salim paR ZAHIR KARNA HOGA KE TERI MUHABBAT JHOOTI THI. ik kaneez ne hindustan ke malika banne ki aarzu ki aur muhabbat ka khoobsurat bahana dhoond liya!
An: yeh sach nahin hai! Khuda gawah hai yeh sach nahin hai! Yeh sach nahin hai…
Ak: Lekin tujhe sabit karna hoga ke YEHI sach hai!
An: Parwardigar mujhe itni himmat atta farmaa ke main sahib e aalam se baywafai kar sakoon. kaneez zill e ilaahi ka hukm bajaa laane ki koshish karegi!
Ak: Koshish nahin taameel hogi! Isse azaad kardiya jaaye!!
------from Mughal e Azam!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

[This message has been edited by Asif (edited August 26, 2001).]

Uff khudaya

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/eek.gif

Asif itnay lumbay dialogues tumhay kaisay yaad houtay,lagta hay sirf movies hi pay resurch kartay rahtay ho,
maira favourite sirf ake hi hi hay

Nawa AeyaN aey sohnia:))

BBG !!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Nahin aisa nahin hai! kya hai na ke i have the Cd of mughal e azam which has clips of the dialogues too tau usko PC pe play kar raha thau aur sath hi dialogue type kar raha tha..

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Here’s some more of my fave!

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

**

S: Salim ki pehlu mein Anarkali Hindustan ki malika hogi.
A: Paon ki khaak ko sar ka taaj na banaiye..
S: woh ban chuka Anarkali! Main dekh raha hoon Akbar e Azam ka Hindustan tumhare ikhtiyaar mein hoga.
A: Khuda ke liye!
S: Hindustan kay insaanon ki taqdeerein tumhare gisu’on ki khalqay mein ghir jaayeingee Anarkali. Aur tum phir jidhar muR kar dekho gi hazaron taqdirein kaampti rehengee, mustaqbil larazte rehenge!

**

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/pagal.gif

"mein tumharay bachay ka baap bannay wala houn"

“muje to yeh pele hi shakk ho raha tha”

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/rolleyes.gif

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif


“kaisay na karta usko main pyar, uski haseen main sukh thay hazaar, bichar gayay hum dukh ki hay baat”

fav. dialogue:
"Abh tera kiya banne ga, KAALIYA?!!...HA HA HA"


"kaisay na karta usko main pyar, uski haseen main sukh thay hazaar, bichar gayay hum dukh ki hay baat"

1.Thehro..........Yeh shaadi nahin ho sakti.
2.Sardar maine aapka namak khaya hai.
Le ab goli kha.
3.Kitne aadmi they.
Do sardar.
Hun do...aur tum teem.phir bhi waapas aa gaye...khali haath...kya soch ke aye they.sardar bahut khus hoga....sabashi dega kyon.

"Agar tune Maa ka dhood piya hai......."

"Maa, Maa! Muje chor ke mat ja Maa..."


"kaisay na karta usko main pyar, uski haseen main sukh thay hazaar, bichar gayay hum dukh ki hay baat"

Yeh shadi nahi ho sakti!!!

raam nagaR ke waasiyo
phoophi chaachi aur maasiyo
apun idhir se jamp maarein and jaan de deying.

" yeh basanti koun thi undono mein hemaa yaa wo khotti sorry I mean goRhii"