Re: 'Fatwa' against Pakistani minister for paragliding pics
Arz kiya hai:
Kiya kerti wo bichari key mehram na saath tha
saathi jo umer bhar ka hai, us dam na saath tha
utri jo parachute sey gorey ki good maiN
koi siyah faam sa hamdam na saath tha
khahish thi ik chhalaang ki so maar di chhalaang
gora na saath hota tu kiya toot-ti na taang
Tanha jo kood jaati tu khatra-e-jan tha
Islam ki hadooN pey us ka Iman tha
Is jurat-e-kamal ka inaam do na do **
**us ko gunah gari ka ilzaam tu na do