Fatima zehra ki taazeem ko uthte the Rasool

Inko aansoo bhi jo mil jae to mukati hain
Betiyan to badi maasoom hain jazbati hain

In-se qaayam hai taqaddus bhi hamare ghar ka
Subah ko apni namazon se ye mehkati hain

Log beton se hi rakte hain tawaqau lekin
Betiyan apni bure waqt me kaam aati hain

Betiyan hoti hain pur noor charagon ki tarah
Roshni karti hain jis ghar me chali jaati hain

Ek beti ho to khil uthta hai ghar ka aangan
Ghar wahi rehta hai par raunq-en badh jati hain

Fatima zehra ki taazeem ko uthte the Rasool(SAW)
Mohtaram betiyan isi waste kehlati hain

Apni sasural ka har zakhm chupa leti hain
Samne maa ke jab aati hain to muskati hain

Apne baba ke kaleje se lipat kar Manzar
Zindagi jeene ka ehsaas dila jati hain

Re: Fatima zehra ki taazeem ko uthte the Rasool

Bohat aala

Betian Allah Pak ki Rehmat hain, kash logon ko yeh baat samjh ajay.

Re: Fatima zehra ki taazeem ko uthte the Rasool