**Faseel-e-jaan kay qaidee hain magar yeh dhayan rakha hai
Hawa kay waastay hum nay Dar-e-imkaan rakha hai
Saja saktay thay yadoon kay kai chehray kai pekar
Magar kuch soch kar hum ne yeh ghar veeraan rakha hai
Humen shoq-e-azziyat hai wagarna es zamanay main
Teri yaden bhulanay ko bohat saamaan rakha hai
Teri jholi main laa dalen gay qarzay es muhabat kay
Kay hum shoreda sar hain, kab koi ehsaan rakha hai
Tumhen ye maanna hoga kay hum ne apnay lab see kar
sakoot-e-shab ki muthi main koi toofaan rakha hai
Jo ho yaaro behar surat charaghon ko jalana hai
Hawaen kitni barham hain, ye hum ne jaan rakha hai....!**