Re: – Farq to parhta hay …
Agar yeh na hota to wo hojaata
Wo k na honay nay yeh kia kardala
bhagtay chor ki langoti nay wafa ka sath chor daala
bhaagtay chor ki langoti nay yeh kaisa zulm kardaala
TV chillata raha sari raat bas ab aur nahi, bachay 2 hi achay
Raat ki tareeki main KESC nay yeh kaisa gazab karwa daala
Zannata express jo guzri adhi raat , jaagay sab jin-o-hazraat
Bhala ho wizarat railway ka jo banay raqeeb wizarat abadi kay
Agar Shoib Akhtar hota to wo karjata, yeh karjata, falana karjata
Baat hay sirf ‘Agar’ ki to ik moonch bana jaati Dadi ko Dada Abba
Unn kay aanay say jo aati hay chehray pay mazeed phitkaar
Wo forunn samjh jaatay hain kay beemar ka haal acha hay
Kia farq parhta hay jo agar wo aaj nahi iss mehfil main
Tu nahi koi aur sahi, koi aur nahi teri yaad hi sahi … :-p
Written, composed, etc by:
me mabadolat ba-nasfse-nafees khud
urf…
Urs Aatii
August 04, 2007
Buhat Umda AtA just great bas aik shyr ki mazeed perody mery zehan main bhi ai hy mulahza frmaiy ap or Asal shair donon sy muazrat ky sath:D
Unn kay aanay say jo aati hay chehray pay mazeed phitkaar
Wo samjh jaatay hain kay taqazay qarz ka moqa acha hay