-- Farq to parhta hay ...

Agar yeh na hota to wo hojaata
Wo k na honay nay yeh kia kardala

bhagtay chor ki langoti nay wafa ka sath chor daala
bhaagtay chor ki langoti nay yeh kaisa zulm kardaala

TV chillata raha sari raat bas ab aur nahi, bachay 2 hi achay
Raat ki tareeki main KESC nay yeh kaisa gazab karwa daala

Zannata express jo guzri adhi raat , jaagay sab jin-o-hazraat
Bhala ho wizarat railway ka jo banay raqeeb wizarat abadi kay

Agar Shoib Akhtar hota to wo karjata, yeh karjata, falana karjata
Baat hay sirf ‘Agar’ ki to ik moonch bana jaati Dadi ko Dada Abba

Unn kay aanay say jo aati hay chehray pay mazeed phitkaar
Wo forunn samjh jaatay hain kay beemar ka haal acha hay

Kia farq parhta hay jo agar wo aaj nahi iss mehfil main
Tu nahi koi aur sahi, koi aur nahi teri yaad hi sahi … :-p

Written, composed, etc by:
me mabadolat ba-nasfse-nafees khud

urf…
**
Urs Aatii**

August 04, 2007

Re: – Farq to parhta hay …

:rotfl: :rotfl:

TV chillata raha sari raat bas ab aur nahi, bachay 2 hi achay
Raat ki tareeki main KESC nay yeh kaisa gazab karwa daala

:omg: :omg:

Re: -- Farq to parhta hay ...

:D

Kuch Qabil-e-Aitraaz Si.. Shayad..

Re: – Farq to parhta hay …

bohat samjh aati hay badtameez ‘hazraat’ :smiley:

Re: -- Farq to parhta hay ...

w'Allah aisi baat nahi, aap table kay doosri taraf baith kar parhiyay, yeh ap ko mazeed achi lagaygi... :-)

pasand ka shukria :-)

Re: – Farq to parhta hay …

waisaY zannataa express bhee buraa naheeN thaa..
ideas puraanaY haiN laikin alfaaz aik damm naYe, taazaY aur chulbulaY :k:

Maqta bee aik damm jhakaaas! bolaY tau aakhri line tau buss lagtaa hai kissi baRaY shaair saY udhaar lee hai :stuck_out_tongue: laikin fit aisaY aayee hai jaisaY aNgooThi maiN nageenaa… just like other sho’ara do that..

Re: – Farq to parhta hay …

jall tu jalaal tu … ayi bala ko bhi taal tu ahem :wink:

tell me who else is there who read me more than I express myself, except one and only Anwaar Qureshi :slight_smile:

bolay to yeh ‘maqta’ kia hota ? :blush: (sachi nai pata)

ooh… could be aakhri shayr ( yeh sochtay howay Farooq nay Farzaana ki ‘laat’ par aik zor daar ghoonsa maara… and Farzaana nay Farooq ko ‘do-laati’ maardi … oops patri say utar gaya, edit kardaina dyrector saab)

haan last line, wo na … jo shair saab nay iss jaisi line likhi thi, wo bohat baray bhaagtay chor thay, jinhonay meray zehan say idea chura lia, meray likhnay say bhi pehlay :wink:

ps: araams ay doobara parhna, sukoon say :wink:

Re: – Farq to parhta hay …

Ap ky ghar main kitny bachy hain KESC ki badolat :faizy:

Re: – Farq to parhta hay …

Lobly …:omg: :omg:

Re: – Farq to parhta hay …

Buhat Umda AtA :lajawab: just great bas aik shyr ki mazeed perody mery zehan main bhi ai hy mulahza frmaiy ap or Asal shair donon sy muazrat ky sath:D
Unn kay aanay say jo aati hay chehray pay mazeed phitkaar
Wo samjh jaatay hain kay taqazay qarz ka moqa acha hay

Re: – Farq to parhta hay …

torch nahi to mom batti say hi roshni daaliyay kay itti hansi q ayi :smiley:

Ahem … ( galay main khich khich x 2… kia karoon… )
Bows… thankoo thankoo may’m … :slight_smile:

hehe waisay to be honest I had the same idea about the qarz khuwah, but then I wrote what is written …

Actually the whole idea of this ghazal was that maqta… hehe so had to be like that, …

lekin aap ka shayr classic hay, lagta hay aap main bhi mizaah kay jarsoomay koot koot kar bharay howay hain … hmm… khoob guzraygi jab mil baithaingay namoonay do … :smiley:

ps: thank you so much for opening thread for me in cafe for BD… and thats something that made my day and made me feel to come and write this on GS… credit goes to you only… :slight_smile:

**PS2all:
**I gtg now, later guys, good luck and thank you again … going for pait pooja, agar kisi nay cake khaana hay to ajaain… kuch nahi kaha jaiga :-p

Re: – Farq to parhta hay …

:hehe:
ps muge samg nehe ae:p

Re: – Farq to parhta hay …

hum araam saY aik hee dafaa paRhtaY haiN.. shaairi jaldi maiN paRhnaY saY ishaaL ho jaataa hai :wink:

jin kaa sher hai unn saY poocho.. daad dainaY waaloN saY poochnaa naa insaafi hai :smiley:

hahahahaha .. Perfect :biggthumb

Re: – Farq to parhta hay …

Jhooti Muskan :-p :smiley:

oops main to jaanay waala tha, ok me go went gone… bahbye…

Re: -- Farq to parhta hay ...

nehe me masoom muskaan :p

Re: -- Farq to parhta hay ...

Sukoon muhal hy qudrat ky karkhany main or khas tor pr kam, kam or sirf kam main busy Anno ko:D

Re: – Farq to parhta hay …

**Samjh tu tumhon achi trha aiya hy na koi zati sifati tajarba ho tu aysa hota hy **:faizy:

Re: – Farq to parhta hay …

tumhaiN meraY tajarbaY kaY baaraY maiN kaisaY samajh maiN aayaa… tumhaiN kiyaa tajarbaa hai :omg:

Re: – Farq to parhta hay …

Andaza bhi koi cheez hota hy just a lucky guess:hehe:

Re: – Farq to parhta hay …

andaza???.. aap in cheezoN par andazaY saY kaam laitee rahi haiN? :):)

kitnaY teer ghalat niklaY?