Farq kiyaa ho gaa mujh maiN aur pathar kay sanam maiN

***

Khiyaal woh kartay haiN jo dil say piyaar kiyaa kartay haiN
Jiss say piyaar kartay haiN, uss say hee baat kiyaa kartay haiN

Humm tau woh loug haiN kay jub afsurdah huvaa kartay haiN
UlTTaa loug humm say hee khafaa huvaa kartay haiN

YaqeeN kaisay karooN uss kee uljhi baatouN kaa
Dumm kissi kaa haiN bhartay aur baat aurouN say kiyaa kartay haiN

Khushi kaa hamaari khiyaal kiyaa ho gaa kissi ko
Jubb shikaayat ho kay humm hee bay waafaiee kiyaa kartay haiN

Farq kiyaa ho gaa mujh maiN aur pathar kay sanam maiN
Bu’t tau haiN khamosh, baat buss insaan kiyaa kartay haiN

Dukh yeh kay ghaafil haiN woh apni munafiqat say Anwaar
Jinn kay Qol-O-Amal main Tazaad huvaa kartay haiN

***

– Anwaar

bahut dard hai aap ki poem mai..
lagta hai aap baahut afsurda hai?

Wow Anwaar... what a poetry... bohat balanced aur zabardast... Loved it
Thanks for sharing... and keep writing :~)

Farq kiyaa ho gaa mujh maiN aur pathar kay sanam maiN

:hehe: ap mei oar pather mei koch toh faraq ho ga :hehe:
sowey sowey bhae mazak ker rehe

:k:

:k: :hehe:

nice one Anwaar Q :k:

thank you all !

how did i miss that :konfused:

u mean farq nahiN haiN :bummer: ?

how sweet :blush:

wow :k: i mean wah wah :halo:

Nice :k:

damn Lovely..
poori ghazal hi be-had khoobsurat hai.. :k::k:

keep writing.. :slight_smile:

^
^
^
Thank you :flower1:

Re: Farq kiyaa ho gaa mujh maiN aur pathar kay sanam maiN

very nice :k:
keep it up :slight_smile:

meri reply :wink:
hehehe…

Bohat achi hai anwar unkil :teary1:

wese second verse likhte waqt aap humaare baare mein to nahi soch rahe thhe :hoonh:

hehe…kher…
wonderful piece of writing :k:
keep it up!

Thanks chand_chera :)

Rani: achi bhee kehti ho aur roti bhee ho :-P

bohot zabardust anwaar bhai

BEST OF LUCK

Re: Farq kiyaa ho gaa mujh maiN aur pathar kay sanam maiN

:k: